internet kya hai janiye iski puri kahani hindi me aap hum sabhi jante hai aaj ke is daur me internet ka kya importance hai.aap hum sab aaj is internet ke jariye ek dusre se connected hai aur aaj internet humari jarurat ban chuka hai.
puri duniya me aaj internet ka bistaar bahut jor sor se ho raha hai internet ki badhti daur me hume apna kaam karne me aur aasani bhi ho rahi hai jaise aap ghar baithe baithe whatsapp,facebook jaise social media ke jariye ek dusre se aise connect hai jaise mano aap unke hi saath ho.pahale jamana kuch aur tha jab aapko kisi se baat karne ke liye ghanto line me lag kar pco ke jariye baat karna padta tha lekin aaj jab chahe aap video calling kar sakte hai.lekin kya kabhi aapne ye jaane ki kosish ki hai ki internet kaam kaise karta hai.
chaliye aaj hum aapko batate hai ki internet kaam kis tarike se karta hai..
search engine kaise kaam karta hai
internet kya hai-what is internet?
internet ayni international network of computer matlab ek ya ek se adhik computer ka aapas me connect hona ya yu samajh lijiye ye yek makdi ki jaal ki tarah ek aapas me connected hote hai aap internet ki madad se ghar baithe baite second me duniya ki kisi bhi chij ki jankari hashil kar sakte hai.
jab 1969 me insaan ne moon par kadam rakha tha tab us waqt america ki ek agency jiska naam ARPA(advance research project agency) data exchange karne ke liye 4 computer ka ek network tayaar kiya tha aur baad me ise aur bhi kai agency ke saath jod diya gaya fir dhire dhire ise yah network badhta gaya aur baad me ise aam logo ke liye bhiopen kar diya gaya aur internet ki sabse achhi baaat yah hai ki is par kisi agency ka koi control nahi hai.
India me iska istemaal 1995 me BSNL ne suru kiya aur baad me baki company ne isko bada rup diya aur aaj JIO internet ki new pidhi ko apne 4G ke madhyam se tahalka macha rakha hai.
internet kaise chalta hai aur kaise kaam karta hai
Internet ke baareme aap sab ki alag alag rai ho sakta hai lekin vastav me internet kaise chalta hai aur kaise kaam karta hai shayed aap logo ko iske baareme jankaari na ho to chaliye hum aapko batate hai ki computer vastav me kaise kaam karta hai
chalne ko to internet satellite se bhi chalta hai lekin yah taknik bahut purani ho chuki hai aaj aap aur hum jo fast 4G ki speed waali internet chala rahe hai yah takniki hai optical fibers cable jiske dwara hum itni fast internet chala pa rahe hai.aapko yah jaankar hairani hogi ki 90 lakh kilomiters lambi optical fibers cable samudra ke andar bichha hua hai jis par humare 90% internet ka istemaal hota hai samudra ke andar wohi optical fibers cable bichaye jaate hai jis par kam nuksaan aur kam lagat aati hai.
kyo ki samudra ke andar cable bichhe hone ke kaaran kabhi kabhi hume nuksaan ko bhi sahana padta hai woh isliye ki samudra me pani jahaaj ki takkar se kai baar yah cable tut jaate hai.aur is samasya se nipatne ke liye aisi kai team hai jo har samay iski ingraani rakhti hai.
aapne 90% internet ke baare me to padh liya lekin jo bacha hua 10% internet kaha se aata hai iske baare me bhi janana chahenge to dosto jo 10% internet hai woh secret agency dwara satellite ki madad se chalta hai aur aam log iska istemaal nahi kar sakte.
internet ka kaam karne ka tarika
aap ne padha internet kaise paida hota hai ab aapko batate hai internet kaam kaise karta hai.
aaj kal sab log internet ka use karte to hai lekin kisi ko yah nahi pata hota hai ki akhir yah internet kaam kaise karta hai isko samajhne ke liye aap yah artical dhyan se padhiye aapko puri jaankari mil jayegi.
internet ki kaam karne ki method ko janne ke liye hum ise 3 bhag me samajhte hai to sabse pahala hai SERVER jis par duniya ki tamaam jankari save aur store hoti hai.
dusara hai internet service provider jaise jio, airtel ,vodafone jo hume SERVER se jankari bhejti hai.
aur third hai humare PC ya mobile ka browser jispe hum jankaari search karte hai.
jab hum kisi bhi jankari ko apne mobile ya PC ke browser ke madhyam se searsch karte hai to request sabse pahale humare internet service provider ke pas chala jata hai aur yah server par search karta hai aur jankari hum tak pahuch jata hai khas baat yah hai ki in sab ki prakriya me kuch hi second ka samay lagta hai.aur kuch hi cesond me tamaam jankari humare paas pahuch jaati hai.
aapko mera yah artical kaisa laga comment me jarur bataiyega
real fact about search engine
what is internet and its story
Reviewed by Ramesh
on
Saturday, February 17, 2018
Rating:
Reviewed by Ramesh
on
Saturday, February 17, 2018
Rating:


No comments: