Google kya hai janiye hindi me
aaj ki is jamaane me hum aur aap internet ke itne aadi ho chuke hai ki bina iske humara
gujaara hi nahi chal pata jaisa ki aap internet par koi kaam karte hai to aapko pata hoga ki
google ke bina hum internet ki kalpana hi nahi kar sakte hai.aaj bhi bahut log aise bhi honge
jinko google ke baare me koi jankari nahi hai to chaliye hum aapko hindi me google ki jankari
ke baareme batate hai.
Google ek multinational american company hai jisko PHD ke do studient Larry Page aur
Sergey Brin ne banaya hai in do hartiyo ne milkar 4 septmber 1998 ko iski sthapana ki aur
pahala sarbjanik karya ki suruwaat 19 august 2004 ko kiya tab se lekar abhi tak ap aur hum
internet par kisi chij ke baareme janne ke liye sirf aur sirf google ka prayog karte hai.
Google internet ki duniya ka sabse bada naam to hai hi lekin Google ke baareme aisi bahut
saari baate hai jisko jaankar aap hairan ho sakte hai to chaliye jante hai kuch aise rochak
baate Google ke baare me
lakho ki kamai karta hai Google ek second me
mainly Google ki kamai jo hoti hai woh Google ka ek programme jiska naam Adwords se hoti
hai jo advertisment ka kaam karta hai aur yah ek second me lagbhag 9,300,00 ke kareeb ki
kamai karti hai.iske duniya ke 40 country me kamsekam 70 se bhi jyada offices hai.
har hapte lakho log job pane ke liye Google par apply karte hai
Google par job paane ke liye har hapte lagbhag 2,300,00 log apply karte hai lekin inme se kuch
hi log hote hai jinko Google par job mil jaata hai kyo ki iski sabse badi wajah yah hai ki
interview me puchhe jane waale sawal itne mushkil hote hai ki hum aur aap iske baare me
kabhi soch bhi nahi sakte.jo google company par job ke liye niyukt ho jaata hai us naye
emplyee ko NOOGLERS kaha jaata hai aur unko ek bini hat bhi pahan ne ke liye diya jaata
hai Google me filhal 42,000,00 ke kareeb emplyee kaam karte hai jo kai emplyee abhi tak
arabpati ban chuke hai.
Google ki office me bakariya bhi job karti hai
aapko yah jaankar badi hi hairaani hogi ki google ki office me bakariya ghaas katne ka kaam
karti hai kyo ki mashin se ghaas katne par usse nikalne waali noice aur dhuwe se waha ke
emplyee ko pareshani na ho iske liye bakariyo ke owner ko achhi khasi rakam di jaati hai.
Google naam galat spelling ke karan pada
jab google company ki suruwaat hui tab Larry Page aur Surgey brin ne kiya tab Google ka
naam Backrub rakha gaya tha lekin baad me iska naam badal kar googol rakha gaya jiska
matlab hota hai 1 ke pichhe 100 zero lagaane par jo sankhya banti hai use googol kahate
hai.lekin Googolnaam bhi jyada din tak nahi chal paya kyo ki jab googol naam ka domai
ragister kiya ja raha tha tab domain name ragister karte samay galti se googol ki jagah google
type ho gaya aur domain ragister ho gaya tabhi se iska naam google chala aa raha hai.
har hapte google khareedta hai company
Google apne aap me bahut bada naam hone ke saath saath yah bahut badi company bhi hai
aur pichle 12 saalo me Google ne 827 company ko khareed chuka hai aur inhi me se ek hai
youtube jisko google ne 2006 me kharida tha aur google ne ise suru me is deal ko badi galati
mana tha lekin aaj yah bhi google ki tarah bada ban chuka hai aur har mahine puri duniya me
60,000,000,00 (6 arab) hours tak dekha jata hai
kyo hai Google ka home page itna simple
jab Google ko launch kiya ja raha tha tab us samay Google ke founder ko HTML ki jankari
achhi tarike nahi thi is liye Google ka home page simple hi rakha gaya tab se lekar ab tak home
page ko simple hi rakha gaya hai
google kya hai-what is google in hindi
Reviewed by Ramesh
on
Saturday, February 17, 2018
Rating:
Reviewed by Ramesh
on
Saturday, February 17, 2018
Rating:


No comments: