india ka apna apps umang apps indians own apps UMANG

india me launch hua ek aisa apps jis par hai bahut si jaankaari 

UMANG apps IUTI aur NAGD ki taraf se launch kiya gaya indian apps UMANG

Bharatiya suchana mantralaya aur e-govermence divission ke dwara luncha kiya gaya aps umang naam se aap google play store iOS aur windows se aap free me download kar sakte hai.chaliye jaante hai ske baareme
www.myinfodunia.com


UMANG ek aisa apps jis par aapko kai taraha ki subhidha mil jayengi.sabse pahale to hum aapko jaankari dena chahenge ki isko aap apne mobile me kaise downlod kar sakte hai.
yedi aapke paas koi android mobile hai to aap ise play store se download kar sakte hai.uske baad aap apne mobile no. ke dwara isme ragister kar sakte hai  OTP(ONE TIME PASSWORD)aapke mobile no.par aa jayega aur aap ragister ho jayenge iske saath kuch aur jaankaari bhi aapko satyapan ke liye app ke dwara aapse puchha jayega.ragister ki prakriya pura hone ke baad aap iska purna roop se free itemaal kar sakte hai.
yedi aap ko ise playstore me dhudne me samasya ho raha ho to aap9718397183 par miss call ki prakriya ko karke iska download link prapta kar sakte hai.jaisa ki aap jaante haiis digital yug me har koi digital hona chahata hai khas kar bharatiya logo par iska asar jyada dekhne ko mil raha hai aise mae hum ko digital sewa ke baare me jan lena aawoshyek hai.
aaiye baat karte hai UMANG app ki jo haal hi me launch hui hai....umang ek aisa app hai jaha par aapko kai taraha ki govermence subidh direct is app ke madhyam se use kar sakte hai jaise 
E-migrate
Bharat bill pay
aadhaar card
pancard
incom tex
m4agriNEI
HP GAS,INDANE GAS,BHARAT GAS,NDMC,NPS,ONLINE GOVERMENT JOBS,JIVAN CERTIFICATE DG SEVAK,PARIVAHAN SEWA,PASSPORT SEWA,PENSION SEWA,PRADHANMANTRI AWAAS YOJANA,FASAL BIMA,NPPA,MUDRA SWATHA CARD
150 se jyada sarkaari sewao ke alaawa bibhinna bill bhugtaan ke liye aap umang apps ka use kar sakte hai.yah apps bharat ko E SASHAN sewa karya pranali ko majboot banane me ek majboot kadam ka prayaas hai.umang aapko avedan adhaar k saath saathapne aadhaar no. aur aapke social media se link hone ka option deta hai.iske alawa one touch finger jispe tamaam sewa maujood hai jiska upayog aap apne jarurat ke hisaab se ek hi app ke andar mil jayega.
aise hi bahut saari sewao ka laabh is app ke jariye aap le sakte hai.iske liye aapko alag alag apps download karne ki janjhat se chhutkara mil jayega.tamaam jaankaari ko dhudne ke liye aap alag alag website pa visit karte hai apna mulyavaan samaya ko byertha karte hai wo saari jaankaari aapko is apps ke jariye mil jayegi.aaj ki is bhagdaud bhari jindagi meextra samaye kisike paas nahi hai ye app aap sabhi logo ke liye bahut upyogi.
is apps ke baareme adhik jaankaari ke liye aap  link par click kare
india ka apna apps umang apps indians own apps UMANG india ka apna apps umang apps indians own apps UMANG Reviewed by Ramesh on Thursday, November 23, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.